10 Oct 2025, Fri

NAAT E Rasool (ﷺ)

Salaam us par k jisne be kasau ki dastageeri ki
salaam us par k jisne badshaahi mei faqeeri ki
salaam us par k israr e mohabbat jisne samjhaye
salaam us par k jisne zakhm khaa kar pool barsaaye
salaam us par k jisne khoon k pyaasau ko khabaaein di
salaam us par k jisne gaaliya sun kar duaein di
salaam us par k jisne fazl k moti bikhere hain
Salaam us par burau ko jisne farmaya k mere hain
Salaam us par k jisne zindagi ka raza samjhaya
Salaam us par k jo khud badr k maidaan mei aya

Salaam us par k jo khud badr k maidaan mei aya ﷺ Rasoolullah
Wo tha ‘ummi’ laqab le kar, magar ummul kitaab aaya
K jis se aadmiyat ke jahan mei inqilaab aaya
Yahi dunya k misl Yahi dunya k misl e dasht jis mei dhool udti thi
Mehek uthi gulao se jab, wo rahmat ka sahaab aaya Rasoolullah x4 times
Nabi aate rahe, aakhir mei nabiyau k imaam ﷺ aaye
Wo dunya mei khuda ka aakhri lekar payaam aaye
Wo aaye jab toh azmat badhgyi dunya mei insaan ki
Wo aaye jab toh insaan ko farishatau ka salaam aaya
Jhukaane aaye Bandau ko jabeen allaah k dar par
Sikhaane admi ko admi ka ihteraam aaye ﷺ Rasoolullah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *